Workers Welfare Fund ka istemaal qanoon kay mutabiq hona chiye, Chief Justice

Islamabad: Supreme court of Pakistan main workers welfare fund case ki samaat kay doraan chief justice nay remarks diye kay workers welfare fund hukaam ka kehna hai hukumat apna hissa nahi daal rahi.

Tafseelat kay mutabiq chief justice miyan saqib nisar ki sarbarahi main supreme court main welfare fund case say muttaliq samaat hui.

Additional attorney General nay samaat kay doraan adalat uzma ko bataya kay wazarat e khazana nay muamlay par jawab dena hai, jo jawab aaya hai vo nakafi hai.

Chief justice of Pakistan nay remarks diye kay workers welfare fund ka istemal qanoon kay mutabiq hona chiye, workers welfare fund hukaam ka kehna hai hukumaat apna hissa nahi daal rahi.

Additional Attorney General nay adalat e uzma ko agaah kiya kay 18th tarmeem say qabal fund wafaqi hukumat kay pas tha, fund ab soobon kay pas chala gaya hai, raqam soobon say wazarat e khazana kay pas aati thi.

Justice umer aata bandiyal nay remarks diye kay 2008 say qabal 48 arab mehakmay kay pas thay.

Bad izaan Supreme Court nay 4 soobon ko case say muttaliq tafseeli jawab jamah karanay aur soobon kay advocate generals ko insaani huqooq kay muqadmat main pesh honay ki hidayat kartay huvay samaat peer tak multavi kardi.

Leave a Comment